Tuesday, June 1, 2010

urdu poetry part 219

Log mansoob tere naam se karte hain mujhe..
Naam tera mere maathe pe likha ho jaise..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali




Nahi jaanti hai mera naam O,
Magar bhej deti hai paigham O.
Mohabbat ke Message mujhe bhej kar,
Mera chheen leti hai araam O.







Meri dunya ujadne wale,Mujhko tadpa k kya mila tumko.
Pyar krna to koi jurm nahi,Mujhse akhir hai kya gila tumko.

IBNE HASAN







Sadak Chhap Aashiqau Ke Naam:

"Muskura kar dekh lene se koyi Pat'tha nahi..
Pagalau ko dekh kar b muskura letay hain log..







Kisi ko bewafa kehne se pehle dekh lo BISMIL..
Najane kis bina par usne tum se bewafayi ki..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali (Goa)







Aaj b jiski kasak pehro rulati hai mujhe.
Mujh se O beete dinau ki baat mat poochha karo.

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar







Tadapne k siwa Aashiq ko ulfat me mila kya hai.
Mohabbat mat karo yaaro, mohabbat me bhi dhoka hai.

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali







Hamari bhool thi hum zehr ko yaaro dawa samjhe..
Usi ne bewafayi ki jisay hum Bawafa samjhe..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali







Mohabbat me hamesha chounkte hai muntazir reh kar.
Har ek aahat pe darwaza woh utth kar dekhti hogi.

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT







Bidayi ka kisi ki jab wo manzar dekhti hogi.
Mujhe Dulhe ke sehre me woh aksar dekhti hogi.

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore

No comments: