Tuesday, June 1, 2010

urdu poetry part 218

Tere liye toh jaan bhi hazir hai Ae sanam..
Ek bar dekh pyar se mujh ko pukaar ke..

SHAYIRAH:
NUZHAT Amrohi







Nazdeek aa k yu mere ghayib huwi hai woh..
Insaan nahi hai goya UDAN TASHTARI hai woh..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali







Tum door sahi,Majboor sahi,Par dil se hamare door nahi.
Bachpan ki mohabbat aaj talak zinda hai hamare seene me.

IBN-E-HASAN







Jo keh na sake hum aaj talak,Lo aaj bataye dete hain.
Aashiq hai hamare Lakh magar,Hum pyar tumhi se karte hain.

IBN-E-HASAN







Jab b chahat ka izhar mai ne kiya,Mujhe nafratau k andhere mile.
Muqaddar me mere mohabat na thi,Mujhe ansuwo k jazeere mile.




Mohabbat ka nahi koyi ta'alluq shakl-o-soorat se..
Mila deta hai dil se dil ko Allah apni Qudrat se..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN







Kisi Ashiq se poochho Lazzate Aah-O-Buka kya hai.
Tadapna gar na ho ulfat me ulfat ka maza kya hai.

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali







Jafa jo ishq me hoti hai O jafa hi nahi.
Sitam na ho to mohabat me kuch maza hi nahi.

(Ad) sms
START GHAZAL4U
to
09223050606







Lagta hai k mai tere muqaddar me nahi hun...
Chhup chhup ke meri yaad me aansu na baha tu...

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali







Shayed nahi manzoor milan apna khuda ko...
Tujh se hai guzarish meri ab mujh ko bhula tu...

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali

No comments: