Tuesday, June 1, 2010

urdu poetry part 220

Kisi bewafa k khatir kabhi ashk mat bahawo.
'Jo tumhe bhula chuka hai usay tum bhi bhool jawo.'

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali







Kabhi dil me Ay mere yaar tu kisi bewafa ko na de jaga.
'Jo tujhe mila use yaad rakh jo nahi mila use bhool ja.'

IBN-E-HASAN







Tumhare waaste dunya se lad sakta hun mai lekin..
Tumhara Haat mere Haat me hona zaroori hai..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali







Tum se sundar tum se pyara,
Chanda hai na koyi tara..
Aa jawo sab rah take hain,
Japte hai sab naam tumhara..

-SHAMEEM HAYAT







Mujhse tujhe dunya ne chheena,Ho gaya mushkil hijr me jeena.
Ab to mera kaam yahi hai,Gham khana aur aansu peena

IBN-E-HASAN




Hamein zalim zamane ne kiya hai door to lekin.
Mujhe ummeed hai Allah hamein phir se mila dega.

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali







Aasaan samajhte ho agar mujh ko bhulana..
Kehte ho bhulane ko bhula kyun nahi dete..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore







Masoom nazar ka bholapan ye dil diwana kya jaane..
Jo khud nishana bante hain woh Teer chalana kya jaane....







Tujhe keh diya sitamgar ye qusoor tha zaban ka..
Mujhe tum maaf karna mera dil bura nahi hai..

START GHAZAL4U
to
09223050606







Diya jab usko dil apna khula ye raaz tab mujh par.
Woh Zalim hai Sitamgar hai Ghazab dhane me mahir hai.

-SHABNAM Bhatkali

No comments: