Mujh ko jeene ki mera dost dua deta hai..
Ghar jo jalta hai mera us ko hawa deta hai..
SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.
Dandanata phir raha hai kya zamee'n phat jayegi..
Ek din barbad hoga Lantarani chhod de..
SHAYIR:
Ayub Baig Danish..
Dunya ki wafadari dekhi hai bahut hum ne..
Wade hain mohabbat ke par pyar nahi milta..
SHAYIR:
JALAL MADANI,
Vaniyambadi.
Unka qusoor ye tha k Maa baap thay ghareeb..
Bachcho ko kaat'te rahe machchar tamaam raat..
SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali..
Khuli hain unke liye dil ki khidkiya'n har waqt.
Tasauwuraat ki dehleez tak jo aa na sake.
SHAYIR:
NADEEM FAROORI
Ramanagram
Ada-o-naaz par bhi toh fida hote hain dil aksar.
Mohabbat shakl-o-surat dekh kar toh ki nahi jaati.
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.
Teri yaado se mai ek pal bhi ghafil ho nahi pata.
mere Qalb-o-jigar me tu basi maloom hoti hai.
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkal
Ghar me mehki hai mere aise badan ki khushbu.
Mosam-e-gul me ho jis tarha chaman ki khushbu.
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore
Hanste hain magar aap ko hansna toh nahi tha..
Jo arz kiya hum ne Lateefa toh nahi tha..
SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.
Kya gham ko chhupawoge tum apne tabassum se.
Jo kaifiyet-e-dil hai chehre se numaya'n hai.
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore
No comments:
Post a Comment