Aise guzar gayi hai jawani tumhare saath..
Jaise koyi khayal tha aaya guzar gaya..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar..
Chandni Chaand se Taaro se tabassum lekar..
Kya haseen aap ki tasweer bana di hum ne..
SHAYIR:
Jalal Madani,
Vaniyambadi.
Safar me zindagi ke tum mere gar hamsafar hote.
Samajhta mai ye mere waaste thi baat kismat ki.
SHAYIR:
MAZHAR Chickmagaluri
Bahaar aayi khizan ka roop lekar aaj gulshan me.
Jali hai kis tarah dekho chaman me shakh hasrat ki.
-MAZHAR
Chickmagaluri.
Woh dil ki dhadkano ko badha kar chale gaye..
Deewana apna hum ko bana kar chale gaye..
SHAYIRAH:
NAGHMA Karnataki,
Hari Har
Deewar pe mera naam na likh,Badnam mujhe Ae-yaar na kar.
Wade k mutabiq aa bhi ja,Achha hun mujhe bimar na kar.
AHMED NAZEER
Rootth kar mujh se meri tarha akela kyun hai..
Paas reh kar bhi samandar ke tu pyasa kyun hai..
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.
Woh aate hain shayed isi rahguzar se..
Hawayein mahekti huwi aa rahi hain..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore....
Chhupta hai chhupane se kab raaz mohabbat ka..
Khushbu toh udi hogi jab phool khila hoga..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
Ruswa huwa Zaleel huwa kya se kya huwa..
Ek teri chah ne mujhe kya kya bana diya..
SHAYIR:
JALAL MADANI,
Vaniyambadi.
No comments:
Post a Comment