Dekh kar ek bar dobarah sambhal kar dekhiye..
Log milte hain yaha'n chehre badal kar dekhiye..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Shola tamaam umr woh samjhe rahe mujhe..
Is waaste gale se lagaya nahi mujhe..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore....
Ye dunya hai yaha'n SHABNAM Kabhi aisa b hota hai.
K pehchane huwe chehre bhi pehchane nahi jaate.
SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.
Hamare band labo me hai band unki haya.
Khule agar ye toh shikwe hazaar aaj bhi hai.
SHAYIR:
Ghouse Peer Hamdard,
Davangere.
Kabhi apnau ne chheena hai Kabhi ghairo ne loota hai.
Bharosa kar sake jis par koyi aisa nahi milta.
-
SUHAIL ARSHI, BHATKAL.
Woh mere saamne hansta huwa bichhda lekin.
Mai ne jab ghoom k dekha usay rota dekha.
SHAYIR:
AARIZ MIYAN
Garhi pukhta (U.P.)
Hawas ko naam de de kar mohabbat ka na ruswa kar.
Ye woh ehsaas hai jis se Khuda ka qurb milta hai.
SHAYIRAH:
Dr. Virottama
Bahut masroof rakkha hum ko unki yaad ne yaaro..
Bahut bechain ho kar hum ne kaati raat furqat ki..
-
MAZHAR
Chickmagaluri.
Kabhi toh khwab me chehra nazar aaye tera mujh ko.
Kabhi toh ba-asar ye Nala-e-shabgeer ho jaaye.
-
HABEEB SAIFI, New Delhi.
Khata hamari thi ek tarfa pyar hum ne kiya..
Khud apna daman-e-dil taar taar hum ne kiya..
SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi
No comments:
Post a Comment