Puchha nahi kisi ne hame'n jeete ji magar..
Marne ke baad nikle hain saj dhaj ke ghar se ham..
SHAYIR:
SYED Bhatkali...
Toot kar shaakh par yunhi atka huwa..
Zindagi ek patta hai latka huwa..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore..
*** ***
Pata tha wada khilafi ki unko adat hai..
Tamaam raat magar intizar Ham ne kiya..
SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.
Rukh badal hi lengi ye sarkash hawaye'n ek din..
Hosala rakh raaste me ladkhadana chhod de..
SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.
Aankhe'n band kiye mat chalna in pathreele rasto'n par.
Thokar jo ek baar lagi toh barso'n tak sehlaoge.
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Janazo'n ki Namazo'n me hai shirkat isliye Lazim..
Hame'n bhi zindagi ki shaam ka ehsaas ho jaaye..
SHAYIRAH:
Dr. Virottama
Maut-o-hayat uski hai marzi pe munhasar..
Chalta hai jiske hukm se dunya ka ye nizaam..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
Janazo'n ki Namazo'n me hai shirkat isliye Lazim..
Hame'n bhi zindagi ki shaam ka ehsaas ho jaaye..
SHAYIRAH:
Dr. Virottama,
Bangalore.
Woh jab bhi aa gaye hain uthaye huwe naqab.
Har samt wadiyo'n me ujale bikhar gaye.
SHAYIR:
AARIZ MIYAN, Ghari Pukhta (U.P.)
Maut-o-hayat uski hai marzi pe munhasar..
Chalta hai jiske hukm se dunya ka ye nizaam..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
No comments:
Post a Comment