Ham apna chain ganwa kar sukoon dete hain..
Paseena maangne walo'n ko khoon dete hain..
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.
Ye aabgeena mai kab tak sambhal kar rakhta..
Likha tha tootna dil ka mere muqaddar me..
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali...
Aur kuchh deejiye tohfatan pyar me..
Aap ka gham toh aansu baha le gaye..
SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ Deobandi,
Saharanpur (U.P.)
Kabhi toh khwab me chehra nazar aaye tera mujh ko.
Kabhi toh ba-asar ye Nala-e-shabgeer ho jaaye.
-
HABEEB SAIFI, New Delhi.
Darbar-e-ilahi me ye sar kham hai rahega..
Aata nahi har dar pe mujhe sar ko jhukana..
SHAYIR:
NAZEER RAHI,
Kolkata..
Tere karam pe hain sab faisle mere Mola..
Gunahgaar hisab-o-kitab kya jaane..
SHAYIR:
YAMEEN FAIZI,
Garhi pukhta (U.P.)
Aab-e-hayat saamne maujood hai magar..
Bad qismati se ashk piye ja raha hun mai..
SHAYIR:
GHOUSE PEER HAMDARD,
Davangere.
Tha adab ki shaam ka woh zofasha'n roshan CHARAGH.
Bujh gaya toh bujh gayi'n sher-o-sukhan ki mehfile'n.
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Ho na jaaye pyar ki saughat zaya isliye..
Ashk aankho se kabhi girne nahi deta hun mai..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
Aib dunya se chhupa kar khush toh ho jaate hain Log.
Par nigaaho se Khuda ki kuch chhupa sakte nahi.
SHAYIRAH:
Dr. Virottama
No comments:
Post a Comment