Tazkira ab yaad-e-maazi ka toh karna hai fuzool..
Kyun sunane aa gaye tum mujh ko bhooli dasta'n..
(SAIFULLAH ARSHAD SAIF)
Khuda bhi tum se khush hoga Zamana bhi dua dega.
Gharaz-mando'n ki khatir waqf kar do zindagi apni.
SHAYIRAH:
Dr. Virottama
Ye zindagi safar hai aur anjam maut hai..
Logo! Guzar rahe hain kuchh aise safar se ham..
SHAYIR:
SYED ABUBAKER Bhatkali.
Mubarakbad saal-e-nau ki tum ko de toh du'n lekin..
Huwa hai 1 baras kam phir tumhari zindagani ka..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Keh rahi hai yahi waqt ki teergi..
Shamm-e-ulfat jala le NAYE SAAL me..
SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
Darbhanga,
Bihar- 847306
Dukh Dard Ranj-O-Gham ke fasano ko bhool kar..
Khushiya'n manayiye k naya saal aa gaya..
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.
Khula rakkha hai mai ne soch kar ye kal se darwazah.
Koyi toh aayega mujh ko Mubarakbad dene ko.
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkal
Saal-e-nau par aap se Lambi mulaqate'n karu'n..
Aap ki Ranayiyo'n se doodhiya'n raate'n karu'n..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Kaash ! Tum pehrau nazar ke saamne baithe raho..
Tum se Lehje me Ghazal ke phool si baate'n karu'n..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Naya hai saal meri aarzu hai dekh lu'n tum ko.
Mubarakbad dene ke bahane hi chale aawo.
SHAYIR:
ILYAS RAHAT,
Muzaffar nagar.
No comments:
Post a Comment