Tere karam pe hain sab faisle mere Mola..
Gunahgaar hisab-o-kitab kya jaane..
SHAYIR:
YAMEEN FAIZI,
Garhi pukhta (U.P.)
Aab-e-hayat saamne maujood hai magar..
Bad qismati se ashk piye ja raha hun mai..
SHAYIR:
GHOUSE PEER HAMDARD,
Davangere.
Tha adab ki shaam ka woh zofasha'n roshan CHARAGH.
Bujh gaya toh bujh gayi'n sher-o-sukhan ki mehfile'n.
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Ho na jaaye pyar ki saughat zaya isliye..
Ashk aankho se kabhi girne nahi deta hun mai..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
Aib dunya se chhupa kar khush toh ho jaate hain Log.
Par nigaaho se Khuda ki kuch chhupa sakte nahi.
SHAYIRAH:
Dr. Virottama
Mere ash'aar ab Mobile par padhne ko milte hain.
Mujhe hai fakhr k mai bhi GHAZAL4U ka shayir hun.
SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.
Qadr uski hum ne jaani maut ki dehleez par.
Zindagi bhar zindagi ko hum saza kehte rahe.
SHAYIR:
MUKHTAR BADRI,
Krishnagiri.
Aafreen hai tum par sabr ke chalan walo..
Aankh jab b bhar aayi muskura diya tum ne..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT,
Muzaffar nagar.
Socha tha mujh ko dekh ke rokega raah me..
Lekin ye kya k usne pukara nahi mujhe..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.
Woh jab bhi aa gaye hain uthaye huwe naqab.
Har samt wadiyo'n me ujale bikhar gaye.
SHAYIR:
AARIZ MIYAN, Ghari Pukhta (U.P.)
No comments:
Post a Comment