Bhuliye beete dinau ko haal ki baate'n karo.
Aaj toh khushiyo'n ke istiqbal ki baate'n karo.
SHAYIR:
YASIR ILYAS,
Bangalore.
Tez badho ye husn ki nagri jadu ka woh khandhar hai.
Tum ne agar mud kar dekha toh patthar ke ho jawoge.
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Himmat agar hai tujh me toh ailan-e-ishq kar..
"Dar dar ke pyar karne me koyi maza nahi.."
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
Kahein aisa na ho k woh meri ulfat ko thukra de..
Isi dar se mai
izhar-e-mohabbat kar nahi paata..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN
Dekh kar meri maiyet keh gaya mera apna..
Ja raha hai jaane do jaayega bhi kya apna..
SHAYIR:
YAQOOB ASLAM,
Vaniyambadi.
Ab makan-e-dil nahi khali basera ho chuka.
Teergi tu ne mita di ab sawera ho chuka.
SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH,
Chickballapur.
Teri yaad ne in aankho'n ko kitne suhane khwab diye..
Pyar se sar par haath rakha aur mere pawu'n daab diye..
-SIRAJ ZEBAYI
Kahein das le na shab-e-hijr ye nagin ki tarah..
Zehr se iske Khudawand bachana mujh ko..
SHAYIR:
HAROON SAIT SALEEM
Chauduvi ki raat me jab chhat pe tu aa jaye hai..
Dekh kar tera sarapa chandni sharmaye hai..
SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI, Bihar.
No comments:
Post a Comment