Karbala aaj bhi aankhe'n bichhaye hai yu'n hi.
Koyi neza hai na rakkha huwa sar baaqi hai.
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.
Hadisa-e-karbala ye dars deta hai hame'n.
Sar kabhi batil k aage mat jhukana dosto.
SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH,
Chickballapur.
Ye bhi tha ek sabr-o-tahammul ka imtiha'n.
Pyasa hi reh gaya Lab-e-tishna Husain ka.
SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI
Darbhanga, Bihar
Koyi Husain jaisa jaha'n me huwa nahi..
Baatil ke aage jinka kabhi sar jhuka nahi..
SHAYIR:
NAZEER RAHI,
Kolkata...
Kaha'n dilo'n me khushi Har taraf udasi hai..
Ye gham Yazeed sa hai zeest Karbala si hai..
SHAYIR:
SIRAJ ZEBAYI,
Vaniyambadi
Woh aur thay jinho'n ne lahu nazr kar diya..
Ham ne paseena bhi na kiya Karbala ke naam..
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.
Haq ki khatir jaan de di Haar woh maane nahi.. Khoon se tareekh likh di Karbala ki aap ne..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali...
Karbala se O surkhru aaye,Is haqiqat ko kaun jhutlaye.
Teri khatir
HUSAIN IBN-E-ALI,Kitni ankho ne ashk barsaye.
ILYAS RAHAT
Bikte hain yaha'n roz hi Yusuf ki tarah hum..
Har roz yaha'n misr sa bazar Lage hai..
SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ, Deobandi (U.P.)
Mere geeto ko akele raat ke pichhle paher..
Lait kar bistar pe apne gungunata kaun hai..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT,
Muzaffar nagar
No comments:
Post a Comment