Nahi iske siwa koyi tamanna ab mere dil me..
Tumhari zindagi ka gham meri jageer ho jaye..
SHAYIR:
HABEEB SAIFI,
New Delhi.
Tum apne dil me khushi ka diya jala toh liya..
Hamare dil me faqat dil ke daagh jalte hain..
SHAYIR:
GHOUSE PEER HAMDARD.
Poets of GHAZAL4U are requested to send their couplets on
"KARBALA".
For this co-operation we will be grateful to them.
Qareeb aa teri Aankho'n me dekh Lu'n khud ko..
Bahut dino se koyi aayina nahi dekha..
SHAYIR:
SHAMS Deobandi (U.P.)
Hum bhi tumhari tarha wadau se gar mukarte..
Tanhayiyo'n k gham se tum toot kar bikharte..
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali (GOA)
Kuchh aisi zehn par taari hai husn-e-yaar ki ronaq..
Andhero'n me bhi hum ko roshni mehsoos hoti hai..
SHAYIR:
YAQOOB ASLAM
Chale bhi aao k hum ne tumhari raaho me..
Nigaah-e-showq bichhayi hai Dil jalaya hai..
SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore..
Yaaro zaroor uski bhi majbooriya'n thi kuchh..
Warna woh is tarah mujhe tanha na chhodti..
SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali..
Muflis ke ghar ka chulha jalaya nahi gaya..
Bachche taraste reh gaye iftaar keliye..
SHAYIR:
NADEEM FAROOQI,
Ramanagram..
No comments:
Post a Comment