Mahekte hain hazarau phool khil kar goshe goshe me.
Ham apne dil ke gulshan ko kahan weeran rakhte hain.
SHAYIR:
NAZEER RAHI
Mahekte hain hazarau phool khil kar goshe goshe me.
Ham apne dil ke gulshan ko kahan weeran rakhte hain.
SHAYIR:
NAZEER RAHI
Maut ham log jisko kehte hain,Ek waqfa hai zindagani ka.
Zindagi bas wahi haqeeqi hai,A to ek bulbula hai paani ka.
S.A.SAIF
Shamye'n jala jala ke bujhata hun raat bhar..
Bakhsha hai iztirab tere intizar ne..
SHAYIR:
MUKHTAR BADRI,
Krishnagiri...
Shamye'n jala jala ke bujhata hun raat bhar..
Bakhsha hai iztirab tere intizar ne..
SHAYIR:
MUKHTAR BADRI,
Krishnagiri...
Mujhe bhi maal-o-zar paane ki hasrat tang karti hai..
Zameer-o-zarf ka lekin mai sauda kar nahi sakta..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN
Meri zindagi thi udas C Jo mile ho tum to A haal hai,
Koi shakh jaise gulab ki Kahein tharthara k lachak utthi.
-ILYAS RAHAT
Ek kar ke zindagi bhar ki kamayi ko SABA..
Apni MAA ke doodh ki qeemat chuka sakta nahi..
SHAYIR:
SABA Darbhangvi, Bihar.
Aabru-e-ishq woh hargiz bacha sakta nahi..
Bewafa aashiq kabhi wada nibha sakta nahi..
SHAYIR:
SABA Darbhangvi, Bihar.
O jo anjan banke baitha hai,Go k lagta O aashna sa hai.
Uske andaz hi nirale hain,O sarapa hi khud ada sa hai.
SHAMEEM HAYAT
No comments:
Post a Comment