Baitha hun teri deed ka manzar liye huwe.
Aa ja kabhi toh ru-e-munauwar liye huwe.
SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
Darbhanga, Bihar.
Jab tak na koyi dard Koyi gham naseeb ho..
Kis tarha teri yaad ka mosam naseeb ho..
SHAYIR:
Roshan zameer, bangalore.
Sheeshe me yun aankho ke tujh ko basa kar rakhta hun..
Dekh raha hun ab pal pal kitna achha lagta hai..
SHAYIR:
JAWWAD HASAN
Kab tak aakhir mujhse tu door rahega A toh bata.
Chaar qadam toh saath me chal kitna achha lagta hai.
JAWWAD HASAN
Bangalore
Qadam Qadam pe jo ambaar sa hai kaanto ka..
Nawazishe'n hain karam
hai ye mere apnau ka..
SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.
Khud ko chhupao lakh Libas-e-nashat me.
Sab kuch samjh gaye hain jabee'n ki shikan se ham.
SHAYIR:
SURAJ Karnataki,
Hari Har
Hamare saath me tum 2 Qadam bhi chal na sake..
Tumhari yaad ke hum ab bhi saath chalte hain..
SHAYIR:
GHOUSE PEER HAMDARD.
Wojhal hai nigaho se magar aisa lage hai..
Chhup chhup ke kahein se woh mujhe dekh raha hai..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali..
Rudad bas yahi hai shab-e-hijr ki ANEES..
Chup thi zaba'n Nigaah magar bolti rahi..
SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore.
Shikwa-e-dard bhala kis se kare'n ab jaa kar..
Apni taqdeer ko khud aap badalna hoga..
SHAYIR:
SURAJ Karnataki,
Hari Har.
No comments:
Post a Comment