Tumhari zulf ke saaye me jisko neend aaye..
Paseena uska yaqeenan gulab ho jaaye..
SHAYIR:
GOUHAR TARIKERVI,
Mysore-570019
Kitni hasee'n hain aap ki aankhein na puchhye.. Jheele'n ho jaise sabz darakhtau ki chhao'n me..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Mahekte hain hazarau phool khil kar goshe goshe me.
Ham apne dil k gulshan ko kahan weeran rakhte hain.
-NAZEER RAHI
Kolkata
Mai chup raha ye soch ke apnau ke darmiya'n..
Sab bolne Lagenge toh ghar toot jayega..
SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ DEOBANDI..
Shakhsiyet har shakhs ki uski zaba'n me qaid hai..
Tujh ko izzat chahiye toh bad-zabani chhod de..
SHAYIR:
Ayub Baig Danish.
Armaan kaise kaise liye unke ghar gaye..
Pahonche jo unke dar pe toh sapne bikhar gaye..
SHAYIR:
YAQOOB ASLAM,
Vaniyambadi.
Najane aaj bhi toote udaas dil me mere..
Tumhari yaad ke armaan kyun machalte hain..
SHAYIR:
Ghouse Peer Hamdard,
Davangere.
Tumhari zulf ke saaye me jisko neend aaye..
Paseena uska yaqeenan gulab ho jaaye..
SHAYIR:
GOUHAR TARIKERVI,
Mysore-570019
Maut ham log jisko kehte hain,Ek waqfa hai zindagani ka.
Zindagi bas wahi haqeeqi hai,A to ek bulbula hai paani ka.
S.A.SAIF
No comments:
Post a Comment