Dhoop me chalna pada hai chhao'n ki ummeed me..
Raah me budha shajar hai dikhye hota hai kya..
SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI.
Jiski khatir ghoom rahe ho husn-o-tarab ki galiyo'n me.
Sar rakhte jo gaud me MAA ki tum ko bhi aa jaati neend.
-
ILYAS RAHAT
Beti ke haath is tarah peele kiye gaye..
PARVEZ bech dena pada apna ghar mujhe..
SHAYIR:
YUNUS PARVEZ AKHTAR,
Bangalore.
Halaanke aql ka bhi hai aitibaar mujh ko..
Rakhta hun dil ko lekin rahbar bana ke aage..
SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.
Nishaniya'n hain tere pyar ki kahani ki..
Hamari aankho'n me aansu nahi hain
jaan-e-jigar..
SHAYIR:
MAHTAB AAZAD
DEOBANDI.
Maut aayi aur waqt pe kaam apna kar gayi.
Mai naqsha zindagi ka banane me reh gaya.
SHAYIR:
AARIZ MIYAN,
Garhi pukhta.
(U.P)
Kaash mujh ko bhi mile koyi mohabbat nama..
Unke haatho'n me Qalam ho toh Ghazal kehta hun..
SHAYIR:
S.HAIDER RAZA.
(Shamli)
Kamsini me ek Ladki bik gayi bazaar me..
Haath me gudiya liye woh bilbilati reh gayi..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.
ZAHID ye zindagi ka safar bhi ajeeb hai..
Kis ko khabar k kaun kahan kab juda huwa..
SHAYIR:
AKBAR ZAHID,
Vaniyambadi.
No comments:
Post a Comment