Monday, May 24, 2010

urdu poetry part 125

Nishaniya'n hain tere pyar ki kahani ki..
Hamari aankho'n me aansu nahi hain
jaan-e-jigar..

SHAYIR:
MAHTAB AAZAD
DEOBANDI.




Maut aayi aur waqt pe kaam apna kar gayi.
Mai naqsha zindagi ka banane me reh gaya.

SHAYIR:
AARIZ MIYAN,
Garhi pukhta.
(U.P)







Kaash mujh ko bhi mile koyi mohabbat nama..
Unke haatho'n me Qalam ho toh Ghazal kehta hun..

SHAYIR:
S.HAIDER RAZA.
(Shamli)







Kamsini me ek Ladki bik gayi bazaar me..
Haath me gudiya liye woh bilbilati reh gayi..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.







ZAHID ye zindagi ka safar bhi ajeeb hai..
Kis ko khabar k kaun kahan kab juda huwa..

SHAYIR:
AKBAR ZAHID,
Vaniyambadi.







Chehro'n me koyi chehra mahtab sa niklega..
Mumkin nahi har ek ke chehre ko Qamar kehna..

SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam,
(Hubli)







Behosh hun is baat se waqif hun bakhubi..
Dunya ye samajhti hai mujhe hosh nahi hai..

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
(Lucknow)





Tujh ko agar kuchh hasil karna hai toh MAA ki khidmat kar.
Uski hansi hai teri jannat aansu uske jahannam hain.

(Virottama)







Agar ham zindagi ke
zer-o-bam se dar gaye hote..
Yaqeenan maut se pehle hi Bismil mar gaye hote..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali..







Ho na ho hamraah koyi par Dua lete chalo..
Kaam aati hain Duaaye'n hi safar me aaj-kal..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN BHATKALI.

No comments: