Saturday, May 29, 2010

urdu poetry part 185

Please co-operate with us by persuading ur dear ones to activate GHAZAL4U

For activation:
sms
START GHAZAL4U
to
09223050606







Zindah rehne pe usay karti hai hasrat majboor..
Jis pe ek baar nazar uski padi hai yaaro..

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB
Bangalore.







Kuchh toh taskeen ho apne dil-e-muztar keliye..
Teri tasweer ko seene se laga rakkha hai..

SHAYIR:
ANEES IBRAHIM
Bangalore.







Ab kya kisi ka jalwah pasand aayega bhala..
Jee mera bhar gaya hai tujhe dekhne ke baad..

SHAYIR:
SUHAIL NIZAM
Hubli.







Qasme utha ke aap ne toda hai rabita..
Mujh ko tumhare laut ke aane ki aas hai..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore..







Tujh se ab mera ta'alluq toh nahi hai lekin..
Teri soorat meri aankho me basi hai ab bhi..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali..







Raat bhar mai kyun na jane siskiya bharti rahi.
Khof se teri judayi k bahut darti rahi.

SHAYIRAH:
NAGHMA KARNATAKI
Hari Har.










Khushi ko kab talak tarsega ye dil..
Ye kismat aur kitni dair legi..

SHAYIR:
SIRAJ ZEBAYI,
Vaniyambadi...

* * * *




Udaasi mere dil ko ghair legi..
Khabar kya thi woh nazrein phair legi..

SHAYIR:
SIRAJ ZEBAYI
Vaniyambadi.

* * * *







Ae sanam tujh par huwa ye dil fida..
Mujh ko bhi tu apne dil me de jaga..

SHAYIRAH:
SABA KARNATAKI,
Hirekerur..

No comments: