Saturday, May 29, 2010

urdu poetry part 191

Tum toh kehte thay mujhe tum se mohabbat hi nahi..
Mez se meri chura kar le gaya tasweer kaun..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT, U.P.




Bahut masroof rakkha hum ko unki yaad ne yaaro..
Bahut bechain ho kar hum ne kaati raat furqat ki..

-MAZHAR
Chickmagaluri.







Khushbu se uske jism ki mehki hai ye fiza..
Lagta hai woh kahein na kahein aas paas hai..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore..









Baahar se mujhe hansta huwa dekhne walo..
Andar se mai sheeshe ki tarah toot chuka hun..

SHAYIR:
RAJ PREMI
Bangalore..







Mere naseeb me sab kuchh tha tera vasl na tha..
Tamam umr meri tere hijr me guzri..

SHAYIR:
HANEEF SHAH SHABNAM Bhatkali..









Mai toh uske pyar me dunya se begana huwa..
Phir bhi usko pyar par mere yaqeen aaya nahi..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali..







Dil-e-shikasta ko bazar-e-husn me le chal..
Mareez k liye tazah hawa zaroori hai..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER
Bangalore.








Mujh ko tum ne zakhm diye toh aankh me aansu kaise hain.
Jeet gaye ho baazi lekin sach puchho toh haar mili.

-ILIYAS RAHAT.




Saath jab tak tha tera khush'haal thi ye zindagi..
Tere bin jeena mera dushwar ban kar reh gaya..

SHAYIR:
SYED Bhatkali..









Kehta hun uske jor-o-sitam ko nawazishein..
Jeeta hun ye karam hai sitamgar ke shehr me..

SHAYIR:
MAZHAR Chickmagaluri.










No comments: