Saturday, May 29, 2010

urdu poetry part 197

Falak se Chand Taare tod laounga zaban kholo.
Tumhari aankh me Hamdam nami achhi nahi lagti.

SHAYIR:
JAWWAD HASAN
Bangalore.







Chand lamho ka milan aur umr bhar ki dooriyaa..
Aaj kal ke pyar ka me'yaar ban kar reh gaya..

SHAYIR:
SYED Bhatkali










Tumhi ne toh bakhshi thi baisaakhiyan bhi..
Tumhe dawd kar rok paata bhi kaise..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore.




Beh na jaaye kahein armaan ye aansu ban kar..
Band aankho me koyi khwab sajaya na karo..

SHAYIR:
ANEES IBRAHIM
Bangalore.







Ek hook si uthti hai dil me jab tanhayi tadpati hai.
Aankho se chhalakte hain aansu jab yaad tumhari aati hai.

(IBN-E-HASAN)







Sukoon kaisa Kahan ka chain Rahat kisko kehte hain..
Natija dekhle Ae-dil, kisi se dil lagane ka..

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB







Har ek cheez thi kitni haseen jab tu tha..
Tere baghair toh har shai udaas lagti hai..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar.

No comments: