Saturday, May 29, 2010

urdu poetry part 200

Aaj tadpate ho mujh ko Baad marne ke mere..
Yaad meri bhi tumhe tadpa ke rakkhegi sada..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.




Mujhe toh har paher har pal tumhare lab se kahi.
Gaye dinau ki har ek baat yaad aati hai.

SHAYIR:
Ghouse HAMDARD
Davangere.












Tumhare husn ke aage jo ho chuki hum ko..
Hamare ishq ki woh maat yaad aati hai..

SHAYIR:
Ghouse Peer HAMDARD
Davangere.



Kaisi dikash thi labo par woh tabassum ki lakeer..
Ek nazar dekha toh dil
ta-dair jazbati raha..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT.









Jab talak bhi zindagi me woh mera saathi raha..
Zindagi ka 1 bhi lamha na sadmati raha..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar.









Mareezo! Gham na karo is tarah Khuda keliye..
DAROOD kaafi hai har dard ki dawa keliye..

SHAYIR:
NAZEER RAHI
Kolkata







Dard dil ka saha nahi jata,
Bin tere ab raha nahi jata.
Log kehte hain bewafa tujh ko,
Mujh se ye b kaha nahi jata. (BISMIL)







Anjaan sa lage hai shahar ajnabi se log..
Tum kya badal gaye ho zamane badal gaye..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar, U.P.







Tadap uthta hun, teri yaad me aansu bahata hun..
Sarapa dard hun lekin bazahir muskurata hun..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali..









Aap ke husn ka jawab nahi..
Jaisi soorat hai waisi seerat hai..

SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Nethaji nagar
Vaniyambadi- 635753

No comments: