Saturday, May 29, 2010

urdu poetry part 198

Naam jo mera tumhara likh gaya diwaar pe.
Kuch samajh aata nahi hai raazdaa'n ye kaun hai.

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore..







Tumhare saath guzaare thay jo haseen lamhe..
Mujhe akele me aksar udaas rakhte hain..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar.







Do chaar din guzaar liye saath saath hum..
Phir uske baad aisa zamana nahi mila..

SHAYIR:
AHMED NAZEER
Vaniyambadi.







Tujh ko kajal ki kya zaroorat hai..
Apni aankho me tu basa mujh ko..

SHAYIR:
Syed Abubaker Maliki,
BHATKAL.
******







Dil kisi ka tod dena toh bahut asaan hai..
Ghuncha-e-dil khil nahi sakta hai murjhane ke baad..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.







Darta hun k sailaab na aa jaaye shaher me..
Kyun aap ne zulfo ko khula chhod diya hai..

SHAYIR:
JAWWAD HASAN
Bangalore.







Husn waale toh hazarau roz aate hain nazar..
Meri aankho ne magar tum sa haseen dekha nahi..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.

No comments: