Saturday, May 29, 2010

urdu poetry part 186

Sara mahol ho gaya tareek..
Tu nahi hai toh roshni hi nahi..

SHAYIR:
SYED Bhatkali.

(Ad) sms
START GHAZAL4U
to
09223050606







Naam aata hai zaban par teri jab bhi mera..
Saari mehfil hi mere naam se jalti kyun hai..

UBAIDURRAHMAN
EHSAAS,
Vaniyambadi.







Aati hai tu khayal me kitne khayal se..
Tujh ko mere khayal ka kitna khayal hai..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER
Bangalore.







Mai hun tera khayal Tu mera khayal hai..
Ay markaz-e-khayal tera kya khayal hai ???

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER
Bangalore.







Tum tasawur me aise rehte ho,Jis tarah koi phool khilta hai,CHAND ki tarha jagmagata hai,Aisa MEHB00B kisko milta hai

FITRAT







Falak par chand hai aur ek mai hun.. Tumhe tak kar sitaare ja chuke hain..

SHAYIR:
SIRAJ ZEBAYI,
Vaniyambadi..







Dunya ki nazr-e-bad se bachaye khuda tujhe..
Sab ki yahi dua hai tujhe dekhne ke baad..

SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam,
Hubli..







Aarzu dil ki dil me dabi reh gayi.
Qaid ho kar meri har khushi reh gayi.

SHAYIR:
SURAJ KARNATAKI
Neel kanth nagar,
Hari Har.







Hum jinki mohabat me khud ko bimar banaye baithe hain.
Nazaro se hamari jane kyun O khud ko chupaye baithe hain.

IBN-E-HASAN







Woh charagh chahato ke ab tak bhi bujh na paaye..
Mujhe tum jo de gaye thay kisi raat chalte chalte..

SHAYIR:
Shameem hayat.

No comments: