Saturday, May 29, 2010

urdu poetry part 195

Ek shikasta khwab ki tabeer mere paas hai..
Teri dhundlayi huwi tasweer mere paas hai..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.









Ummeed hai tum laut ke aawoge ek roz..
Dil ke sahen me jalta diya chhod diya hai..

SHAYIR:
JAWWAD HASAN
Bangalore..







Tu aa ke mujhe ab mere khwabo me mila kar..
Dunya ko mera tera milan raas nahi hai..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore.









Apna khayal rakhna meri jaan tum sada..
Tum khud hi apne paas amanat ho ab meri..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali
*****









Ek muddat mera dil pyar ke dhoke me raha..
Aaj dil tod ke bedaar kiya hai tum ne..

SHAYIR:
ANEES IBRAHIM
Bangalore.









Dar tha ye dil me k tu thukra na de mujh ko kahein..
Muskurane se tere phir hosala banta gaya..

SHAYIR:
SYED Bhatkali







Woh jab bhi milta hai mujh se Gulab deta hai..
Sawal karne se pehle Jawab deta hai..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.









Mohabbat kar ke ruswayi se darna bhi hai ruswayi..
Mohabbat ka hamesha dahr me charcha bhi hota hai..

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB







Mere seene me ab toh bas teri saanse mahekti hain.
Mai zindah hun k mere dil me tera dil dhadakta hai.

SHAYIR:
SIRAJ ZEBAYI









Baithe hai apne aap ko barbad kar ke hum..
Royenge aur kitna tumhe yaad kar ke hum..

SHAYIR:
AHMED NAZEER
Vaniyambadi.

No comments: