Friday, May 21, 2010

urdu poetry part 71

Na daulat me na izzat me na woh shohrat me milta hai.
Mujhe jitna suku'n MABAAP ki khidmat me milta hai.

(SHAMEEM KIRATPURI)



Khushiya'n mohabbato'n ki toh hoti hain aisa itr.
Ek din bikhar hi jayega kab tak chhupawoge.

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam







Shayed bichhad ke aap se zinda na reh saku'n..
Tanha na chhodna kabhi Ay hamsafar mujhe..

SHAYIR:
YUNUS PARVEZ AKHTAR.





Koyi shaitan barpa kar gaya mahol dahshat ka..
Khilona haath se bachcha bhi dar kar phenk deta hai..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT





Shab-e-furqat ki siyahi ko mitane keliye..
Roghan-e-chashm se yaado'n ke jalaye hain charagh..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.





Aisa nahi ke koyi nahi muntazir mera..
Chhale pade hain paao'n me mumkin safar nahi..

SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.







Woh din meri hayat me shayed na aayega..
Jis din mai teri yaad ko dil se bhulaounga..

SHAYIR:
MAHTAB AAZAD
Deobandi. (U.P.)





Ay Saif unse kehna maghroor mai nahi hun..
Majboor ho gaya hun apni ana ke aage..

SHAYIR:
Saifullah Arshad Saif,
(Karnataka)





Bekara'n sehra me ab mujh ko yahi ummeed hai..
Ban ke badal dil ki woh pyasi zami'n par chhayega..

SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH





Aao barso jhoom k badal,
Bheege tan-man bheege aanchal.
Raah take hai pyasi dharti,
Lekar apni palke'n bojhal.

SHAMEEM HAYAT

No comments: