Friday, May 21, 2010

urdu poetry part 80

Afzal tareen qatl hai
hirs-o-hawas ka qatl..
Aise hasee'n gunaah se tauba karega kaun..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.







Tum bhi jeena seekh sako toh seekho aise pedau se..
Aurau ki Rahat keliye jo dhoop me jalte rehte hain..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT







Haath aayega nahi kuchh bhi tabahi ke siwa..
Husn ki waadi ka tum chakkar lagana chhod do..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali...







Isay bechargi samjho ya meri bebasi lekin..
Mohabbat ko samajh sakta hun samjhana nahi aata..

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB





Isay bechargi samjho ya meri bebasi lekin..
Mohabbat ko samajh sakta hun samjhana nahi aata..

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB







Ashk girne nahi deti yu'n piya karti hun..
Dil ke zakhmo ki jalan door kiya karti hun..

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK

* * *







Insaniyet ka Qatl huwa is qadar k ab..
Milta nahi kafan bhi kafan ki dukaan me..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.
(Karnatak)







Tamanna hai agar mobile par ash'aar padhne ki,
To phir tum karlo Activate Ae Logo GHAZAL4U

sms
START GHAZAL4U
to
09223050606







Shikwe na gile hain na woh ladna na jhagadna..
Dunya meri tum kya gaye weeran bahut hai..

SHAYIR:
RAFFATH ASIFI,
Bangalore.







Kal talak pehchan thi teri Gulabo'n me magar..
Jaane kyun lagne laga hai Khaar jaisa aaj kal..

SHAYIR:
SURAJ Karnataki

No comments: