Friday, May 21, 2010

urdu poetry part 84

Bhula baitha jafa pesha wafa meri jafa kar ke..
Mera dil tod kar aakhir tujhe kya ho gaya hasil ???
-
SAIFULLAH ARSHAD SAIF







Ek ghar jis ne ujaada tha usay kya maloom..
Uske is fa'l se barbad huwe ghar kitne..

SHAYIR:
WASIM HYDER HASHIMI,
Varanasi.





Koyi khwahish ka bhi pauda nahi ugta ab toh.
Ek Jangal hai Biyabaan hai Weeran hai dil.

SHAYIR:
Dr. Azeem Amrohi,
New Delhi.







Kehne ko is jaha'n me apne sabhi hain lekin..
Sach puchhiye toh BISMIL koyi nahi kisi ka..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali...







Aise bhi marhalo me guzaari hai zindagi..
Jab k nafas-nafas ko tera intizar tha..

SHAYIR:
Shameem Hayat,
Bangalore...





Zaban kholo agar RAHAT samajh kar soch kar bolo..
Nahi aate palat kar teer jo chhoote kamano se..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT







Ye meri Maa ki tarbiyyet ka Ae logo nateeja hai..
Mai apne sar se aanchal ko kabhi girne nahi deti..

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK







Do qadam bhi nahi chal paya tha teri janib.
Ho gayi raah me phir waqt ki deewar buland.

SHAYIR:
SHAHID AKHTAR,
Gaya.


No comments: