Friday, May 21, 2010

urdu poetry part 79

Tu salamat rahe mil jaye tujhe umr-e-taweel..
Bewafa tere liye Ham ye dua karte hain..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali,
(Karnatak)







Kal tamasha-gaah thi dunya hamare waaste..
Aaj dunya keliye ham hi tamasha ho gaye..

SHAYIR:
M.H.TABISH,
Rudoli, Faiz Abad.







Rukhsat ki ghadi hai na kar ab koyi shikayet..
Aa ! Waqt ye seene se lagane keliye hai..

SHAYIR:
JALAL MADANI,
Vaniyambadi.







Bichhad gaye hain toh aksar khayal aata hai..
Woh rok lete ya mai khud taher gaya hota..

SHAYIR:
TALIB ZAIDI,
Meerut.







Dil ki dunya nikhar gayi hoti,Ye shab-e-gham guzar gayi hoti.
Tum hamare jo ho gaye hote,Zindagani sanwar gayi hoti.

-BISMIL







Bojh samjha tha jisay sab ghar ke logo'n ne kabhi.
Kis qadar roye hain sab woh aaj ghar lauta na tha.

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT







Uske hawale kar ke gaya tha mai apna ghar.
Shamil magar woh shakhs bhi balwayiyo'n me tha.

SHAYIR:
ZIYA Karnataki,
Bangalore







Kisi aurat ki janib Naujawano jab kabhi dekho..
Hamesha apni
Maa Behno ko tum madd-e-nazar rakhna..

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK







Ta'reef isne aql ki kar di thi isliye..
Naraaz ho gaya hai mera dil zaban se..

SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ Deobandi,
(U.P.)







Daulat pe waliden ki rakhte hain sab nazar..
Lekin meri nagaah me daulat hain waliden..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.

No comments: