Friday, May 21, 2010

urdu poetry part 78

Kehte hain apne aap ko sab soorma yaha'n..
Karte hain buzdilo'n ki tarah waar door se..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.







Chale jaane se ek tere sabhi ghamkhwaar rote hain.
Akela mai nahi rota
dar-o-diwaar rote hain.

SHAYIR:
SHAMS Deobandi (U.P.)







Ghar Dosto'n ne loot liya mera pyar se.
Ab Dushmano'n ki koyi zarurat nahi rahi.

SHAYIR:
SABA DARBHANGVI, Darbhanga, Bihar.







Jeene ka haq nahi hai usay is jahaan me.
Insaniyet ka kaam jo insaa'n na kar sake.

SHAYIR:
SIBTAIN PARWANA,
Katihar, Bihar.







Aap ke kaase me bas hamdardiya'n dalenge log..
Dastan-e-gham zamane ko sunana chhod do..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali...







Tum ne sooli de ke jisko kar diya khamosh kal.
Woh koyi mujrim nahi tha waqt ki awaaz tha.

SHAYIR:
ILYAS RAHAT, (U.P.)







Muddat ke baad aayi hai gulshan me ye bahaar..
Patjhad ke mosamo ko samar de gaya hai kaun ???

SHAYIR:
Shameem Hayat







Nafrato'n ke beech bo kar gulsita'n me har taraf..
Baghba'n ab gul khilana chahta hai pyar ke..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.







Zulm seh kar bhi jo karta hai darguzar SARGAM..
Uski azamat ko sitaare salam karte hain..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.







Mere gham ko apna samajh sake Mere saath mil ke jo ro sake,
Usay dhoondta hi mai reh gaya mujhe aisa shakhs mila nahi. (ZIYA)

No comments: