Friday, May 21, 2010

urdu poetry part 75

Jisko samjha tha mere dil ne hamesha apna..
Kya khabar thi k wahi shakhs paraya hoga..

SHAYIR:
MAHTAB AAZAD Deobandi.
(U.P.)



Hamla karunga soch samajh kar mai kal zaroor..
Dushman samajh rahe hain fana ho gaya hun mai..

SHAYIR:
Zia Karnataki...







Padhe hi kab hain haqeeqat ke saheefe tum ne.
Log toh aap ko afsana suna dete hain.

SHAYIR:
AARIZ MIYAN,
Garhi Pukhta (U.P.)







Woh shakhs mujh se door bahut door hai magar..
Aankho'n me uski shakl muqaiyed hai aaj bhi..

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK







Gham-e-hayat ke shikwe na subh-o-shaam karo..
Agar ho azm toh jeene ka ehtimaam karo..

SHAYIR:
GOUHAR TARIKERVI,
Mysore.







Dil ki ujdi huwi basti me bahare'n lekar..
Ab bhi ummeed hai aa jayega saawan koyi..

SHAYIR:
YAQOOB ASLAM,
Vaniyambadi.







Kehte hain apne aap ko sab soorma yaha'n..
Karte hain buzdilo'n ki tarah waar door se..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.







Shayed isiliye mujhe kehte ho bewafa..
Kyun ab tumhare zehn me aata nahi hun mai..

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
Lucknow. (U.P.)





Khud usne apni raah me kaante bichha liye..
Biwi ke jisne pyar me Maa ko rula diya..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali...





Hai ghaneemat jis Qadar mil jaaye warna zindagi..
Ek diya hai jo hawa ki zad pe hai rakkha huwa..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT






No comments: