Friday, May 21, 2010

urdu poetry part 82

Lahu hai Aag hai aur Siskiya'n hain..
Nazar jab bhi utha kar dekhta hun..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari, (U.P.)







Tere aage haqeeqat kya bhala Huraan-e-jannat ki.
Tu yakta hai Ada Andaz me Naaz-o-Nazakat me.

SHAYIR:
A.R.AFSAR
Vaniyambadi.





Tu na ho ruswa jaha'n me bewafa is waaste..
Aankh me aansu nahi thay Lab pe bhi shikwa na tha..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali...





Kaatib-e-taqdeer ne likkha hai jo hoga wahi..
Gardish-e-aiyam par aansu bahana chhod do..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali...





Kalmat-e-haq kaho k ye afzal jihaad hai..
Sultaan apne daur ka jabir hi kyun na ho..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF

No comments: