Wednesday, June 2, 2010

urdu poetry part 221

Ye basti hai Behro'n ki chup isliye hun.. sunawu'n kise koyi sunta nahi hai..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF,
Chickballapur.




Naam tera jo ham ne likha ret par..
Mauj ki beqarari bhi badhne lagi..

SHAYIR:
ABDUL KHALIQ ANEES,
Jamia abad. (Bhatkal)







Mera toh bas dil toota hai uski jhooti Qasmo'n se..
Un Qasmo'n ke badle lekin uska toh imaan gaya..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT




Ay sitamgar kuchh toh kar ehsaas uske dard ka..
Jiske Bete ko diya hai naam Dahshatgard ka..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.




Ameer-e-shehr ne lauta diya sayil ko ye keh kar.
Baha kar khoo'n paseena maal-o-zar mai ne kamaya hai.

SHAYIR:
SHAAD JAMAYI







Tum toh kehte thay mujhe tum se mohabbat hi nahi..
Mez se meri chura kar le gaya tasweer kaun???

SHAYIR:
ILYAS RAHAT, (U.P.)







Tujh se bichhda toh mita dunga mai khud ko aise.
Mai tere gham ke andhero'n me simat jaounga.

SHAYIR:
MAHTAB AAZAD Deobandi







Sayiba'n Maa ka aanchal hai ham par sada.
Aafate'n khoob aa aa ke talti rahi'n.

SHAYIRAH:
ZAIBUNNISA ZAIBA,
Nimbahera. (Raj)









Ghar me rehte huwe ghairo'n ki tarah hoti hain.
Betiya'n dhaan ke paudo'n ki tarah hoti hain.

SHAYIR:
MUNAWWAR RANA,
Kolkata

No comments: