Wednesday, June 2, 2010

urdu poetry part 224

Gul umeedo k khil gaye hote,
Chaak daman b sil gaye hote.
Meri kismat me tum na thay warna,
Hum bichhad kar b mil gaye hote.



Usne mujh se ye kaha tha dil nahi bikte yahan..
Khol kar baitha huwa dil ki dukaa'n ye kaun hai...???

SHAYIR:
Shameem Hayat




Kaash ek bar O nazar aaye,
Dil ki ummeed meri bar aaye.
Sath mil jaye gar mujhe uska,
Zindagani meri sanwar jaye.

IBNE HASAN







Tere baghair kisi shai me dilkashi hi nahi.
Hilal-e-eid ka chehra laga udaas mujhe.

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar, U.P.







Kaash ek bar O nazar aaye,
Dil ki ummeed meri bar aaye.
Sath mil jaye gar mujhe uska,
Zindagani meri sanwar jaye.

IBNE HASAN









Mai EID manawou bhi toh kis tarha manawou..
Sab kuchh hai mere paas magar tu hi nahi hai..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali







Tumhari deed ko harpal tarasti hain meri ankhiyan.
"MUBARAK ho meri janib se tum ko EID ki khushiyan".

IBN-E-HASAN Bhatkali







Charau dishaayein jaise rango se bhar gayi..
Usne jo aa ke EID Mubarak kaha mujhe..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore.







EID ke roz toh sab log yahi karte hain..
Tum b aa jao mere paas gale milne ko..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali

No comments: