Wednesday, June 2, 2010

urdu poetry part 232

Apna khayal rakh lo meri jaan tum sada..
Tum khud hi apne paas amanat ho ab meri..

(IBN-E-HASAN Bhatkali)





Lagta toh hai yahi k amanat hai tu meri..
Tujh se tujhi ko maang lu ye hosla nahi..

(SHAMEEM HAYAT, Bangalore)







Karta hun mai elaan mohabbat ka sar-e-bazm..
Mai chup nahi reh sakta hun ruswayi ke dar se..

(IBN-E-HASAN Bhatkali)







Tumhe shaakh se tod laya hun mai,Mere waste tum haseen phool ho.
Hazarau baras tum salamat raho,Dua kaash meri ye maqbool ho.







Geet likh kar chal basa ek shayar-e-khana kharab..
Ek shahzadi mahal me gungunati reh gayi..

(Shameem Hayat Bangalore)







Ek pal bhi bhulaya tumhe aisa bhi nahi hai..
Ye baat alag hai tumhe dekha bhi nahi hai..

(Shameem Hayat, Bangalore)









Prophet (pbuh) said
A servant,if he acknowledges his sin & then repents, Allah will forgive him.
[Muslim (2770)]









Mujhse O rooth kar gaya kaise,Ranj ankho me bhar gaya kaise.Band thay saare chor darwaze,Koi dil me utar gaya kaise (S.HAYAT)






Ek pal bhi bhulaya tumhe aisa bhi nahi hai..
Ye baat alag hai tumhe dekha bhi nahi hai..

(Shameem Hayat, Bangalore)









HADEES:
The Prophet (pbuh) said:
None of you truly believes until he wishes for his brother what be wishes for himself.






No comments: