Wednesday, June 2, 2010

urdu poetry part 227

Hashr k roz hashr kya hoga,
Aazmayish wahan kadi hogi..
Bach na pawoge kar k tawilaat,
Sakht insaaf ki chhadi hogi..







Tum aao to lagta hai har samt ujala hai,
A aap ka chehra hai ya Chand ka hala hai.

SHAYIR:
ILIYAS RAHAT
Muzaffar nagar, U.P.







Samjha na tu labo pe mere kis ki pyas hai..
Mai ne toh ye suna tha, tu chehra shanaas hai..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore







Nigah-e-yaar par LICENCE ka hona zaroori hai..
Ye bhi toh Qatl karti hai hamein PISTOL ki tarha..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali







Himmat agar hai tujh me toh elaan-e-ishq kar..
'Dar dar ke pyar karne me koyi maza nahi..'

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali







Uske baghair aaj bahut jee udaas hai.
Yaaro! chalo kahein se usay dhoond laayein hum.

(Ad) sms
START GHAZAL4U
to
09223050606







Hum jiske intzaar me jaage tamaam raat,
Aaya bhi toh woh khwab ki soorat guzar gaya.

(Ad) sms
START GHAZAL4U
to
09223050606







Jaanta hun k bewafa hai tu,
Phir b mujh ko yaqeen nahi aata.
Teri yaado se mujhko nafrat hai,
Phir b tujh ko bhula nahi pata.







O kabhi aate nahi hai samne,Door reh kar mujhko tadpate hai O.
Ek arsa unse mil kar ho gaya,Aaj b mujh par sitam d**** hai O.







Zakhm de kar judayi ka tu ne,Mere dil ko tabah kar dala.
Chand sikkau ki chah me jaanam,Tu ne kaisa gunah kar dala.

-BISMIL

No comments: