Wednesday, June 2, 2010

urdu poetry part 230

Tujh se ab mera ta'alluq toh nahi hai lekin..
Teri soorat meri aankho me basi hai ab bhi..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.


HAPPY NEWS:


Dear lovers of Urdu poetry,
Many famous URDU POETS of India have joined GHAZAL4U.
For enjoying their couplets on your mobile along with their names

for activation:
sms

START GHAZAL4U

And send it to 09223050606






Kaun aaya tha jo aandhi ki tarha guzra tha..
Dil ki waadi me sada goonj rahi hai ab bhi..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore.







Atish-e-pyar se seena mera khali na huwa..
Ishq ki aag mere dil me bhari hai ab bhi..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.







Ek muddat huwi bichhde huwe tujh se liken..
Dil ki dunya teri yaado se saji hai ab bhi..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali, Goa.







HAPPY NEWS:
Many famous Urdu poets of India have joined GHAZAL4U.
Enjoy their Shayiri on ur mobile along with their names...







Deed ki teri pyas hai jaanam,
Tujh se milne ki aas hai jaanam.
Tu na aayi to maut aayegi,
Zindagani udas hai jaanam.

-BISMIL







Yaaro zaroor uski bhi majbooriya thi kuchh..
Warna woh is tarah mujhe tanha na chhodti..


(Shabnam bhatkali)







Kat'ti hai yu hayaat meri iztirab me..
Machhli ho jaise paani ke bahar azaab me..

(Ad) sms
START GHAZAL4U
to
09223050606




Kuchh na kuchh toh hai jo usne aaj dekha hai mujhe..
Iss se pehle toh palat kar yu kabhi dekha na tha..

(SHAMEEM HAYAT)







Saari khushiya rooth gayi hain,
Tujh se bichhad kar khwab me jaanam..
Dil ki naiya doob gayi hai,
Ashkau k Selaab me jaanam..








No comments: