Wednesday, June 2, 2010

urdu poetry part 228

Usne jaate huwe dekha na pukara mujh ko..
Waqt-e-rukhsat woh mujhe bhool gaya ho jaise..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore.







Dekha nahi hun tum ko nazar bhar ke mai abhi..
Dil me laga ke aag chale ja arhe ho tum...

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali







Teri yaado se mai ek pal bhi ghafil ho nahi pata..
mere Qalb-o-jigar me tu basi maloom hoti hai..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN







dost hazar salawn ki judai ko yak muskurahat sa mita deti hai yak dost ki kimat lakawn dushmanawn sa bhi behattar hai.






Wahan wahan pe bikharti hai dosto khushbu..
Jahan jahan se woh jaan-e-chaman guzarti hai..

-SHABNAM Bhatkali







Ay khuda mujh pe tu bas itni inayet kar day..
Mere MEHB00B ke dil me meri chahat bhar day..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali







Tu aa ke mujhe ab mere khwabo me mila kar..
Dunya ko mera tera milan raas nahi hai..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore.







Mujhe jisse mohabat ho gayi hai,
Suna usme jafa kaari bahut hai,
Use apna banana chahta hun,
Jise pane me dushwari bahut hai.







Kya khabar thi k hamein yu chhod kar jawoge tum..
Zar parasti ki hawas me pyar thukrawoge tum..

(IBN-E-HASAN Bhatkali)






No comments: