Wednesday, June 2, 2010

urdu poetry part 231

Haseen shakl se matlab nahi mohabbat ko..
Woh ek ada hai jisay dil pasand karta hai..

(Fitrat Bhatkali)







Teri aarzu teri justju me mai phir raha hun yahan wahan,Tu meri nigah se door hai tujhe dhoondlu mai kahan kahan.
-IBNE HASAN









Dunya me ab to Haseeno ka ghar se b nikalna mushkil hai,
Bebaak nigaho ki unpar har gaam pe barish hoti hai

-BISMIL Bhatkali







Woh galiyaan aaj bhi yu hi hamari raah takti hai..
K jin galiyo me bachpan me tumhare saath khela tha..

(Shameem hayat)







Tu salamat rahe mil jaye tujhe umr-e-taweel..
Bewafa tere liye hum ye dua karte hain..

(Shabnam bhatkali)







Waqt-e-rukhsat toh kaha hans kar Khuda hafiz magar,
Sabr ka jab band toota door ja kar ro pade.

(ILYAS RAHAT,Muzaffar nagar)







ZAKAT:
"Without doubt,charity saves you from the wrath of Allah,and banishes (gets rid of) a bad death"
(Tirmizi)







Hafiza hai k bhool jata hai,
Dil ko lakin O yaad aata hai..
Yu toh mai bhi falak ko chhu leta,
Hosla saath kab nibhata hai..







Phool Sitare aur Qamar,
Aaj bichhe hain raaho par..
Shaam dhali hai aa jao,
Dhoond rahi hai chashm-e-tar..

(Shameem Hayat)







Mohabat me dhoka mujhe doge tum,Mujhe kya khabar thi mai anjan tha.Tadpna padega mujhe raat din,Nahi janta tha mai nadan tha.

No comments: