Qaba pe jiski hai toote huwe rishto ka lahu.
Suna raha hai woh mujh ko wafawo ki baatein.
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar
Chhalki sharab jab tere naino ke jaam se..
Dil mera tere pyar me madhosh ho gaya..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali...
Rakhiye yaqeen k aayega ek din woh laut kar..
Palkaw pe intizar ke lamhe sajayiye..
SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
Darbhanga, Bihar
Anginat chehre nazar se yun toh guzre hain HAYAT..
Koyi bhi mere zehn pe is qadar chhaya na tha..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Reh ke parde me bhi badh sakti hai aage aurat..
Kaun kehta hai taraqqi me rukawat hai hijab..
SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.
Baharo'n ke haseen mosam tumhare paas aate hain..
Tumhara naam lekar phool saare muskurate hain..
SHAYIR:
Siraj zebayi.
Halaat ke sholau me jalta huwa har daman..
Jab dekh liya hum ne dukh bhool gaye apna..
SHAYIR:
MUKHTAR BADRI,
Krishnagiri.
Woh saath apne liye aa rahe hain bu-e-chaman..
Jahan-e-dil mera phir se mahekne wala hai..
SHAYIR:
Ghouse Peer Hamdard.
Teri chahat ko tu hi mera muqaddar kar de..
Mai toh qatra hun tu phaila ke samandar kar de..
SHAYIR:
NIYAZ UMARI, Hubli.
Hai hayat-o-mot ka A falsafa,Mot sachchayi Fasana zindgi.Mot azadi ka 1 paigham hai,Jabke hai 1 Qaid-khana zindgi.
A.Ibrahim
No comments:
Post a Comment