Jab B mehfil me teri ata hun,Dil pe reh reh k chot khata hun.
Berukhi jab sahi nahi jati,Muskurata hun laut ata hun.
S.NIZAM
Mere dil me hai mohabbat tere naaz mai uthaown..
Tu khatao par khata kar mera dil bura na maane..
SHAYIR:
RAFFATH ASIFI.
Hamein zalim zamane ne kiya hai door toh lekin.
Mujhe ummeed hai phir se khuda hum ko mila dega.
SHAYIR:
IBN-E-HASAN BHATKAL
Zehn-o-dil pe naqsh huwa hai kya kehna uss lamhe ka..
Uski kalayi me chupke se jab mai ne pehnaya Chaand..
-SHAMEEM HAYAT
Kuch aise hadisaat bhi dil par guzar gaye..
Hum chalte chalte apne hi saaye se dar gaye..
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore.
Kucha-e-yaar se lautenge ye ummeed nahi..
Isliye baandhe huwe sar se kafan jaate hain..
SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore.
Ladta nahi hun tujh se sharafat hai ye meri..
Aisa nahi hai mai teri taqat se dar gaya..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT,
Muzaffar nagar
Chale aawo k chain aa jaaye dil ko..
Tumhare bin mujhe ghar das raha hai..
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore..
* * * *
Mai kab tha akela Shab-e-furqat me hamesha.
Woh bhi toh khayalo'n me mere saath raha hai.
SHAYIR:
RAFFATH ASIFI,
Bangalore.
No comments:
Post a Comment