Jazba-e-isaar O qurbani ko hum paida karein.
Eid-e-qurban de rahi hai dars hum ko momino.
SHAYIR:
SURAJ Karnataki,
Hari Har.
Tum jo aao toh chali aayegi khushiyo'n ki bahaar..
Eid ki khushiya'n judi hain bas tumhari deed se..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN
Usne yun paigham diya hai Rahat EID mubarak ka..
Chand k beech hina se likh kar mera naam hatheli par..
SHAYIR:
ILIYAS RAHAT
Jisne daulat izzat di,
Jeewan bakhsha rahat di.
Wahi eid ko dekhega,
Kisne kya qurban kiya.
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore.
Jisne daulat izzat di,
Jeewan bakhsha rahat di.
Wahi eid ko dekhega,
Kisne kya qurban kiya.
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore.
Dars isaar ka deta hai jo Islam hamein..
Eid-e-azha bhi yahi deti hai paigham hamein..
SHAYIR:
RAFFATH ASIFI,
Bangalore.
Zabah karna faqat chopaye ko kaafi nahi yaaro..
Hamein karna hai paida jazba-e-isaar O Qurbani.
SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali..
Na ho khuloos toh Qurbaniya'n akarat hain..
Tabahiya'n hain faqat ho agar Riyakari..
SHAYIR:
Saifullah Arshad Saif..
Mai EID manaou'n bhi toh kis tarha manaou'n..
Sab kuchh hai mere paas magar tum hi nahi ho..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
Muddat ke baad eid manane chala tha mai..
Achha huwa k aaj teri yaad aa gayi..
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.
No comments:
Post a Comment