Bewafa hai O bhool ja usko,Tujh ko uski hi justju kyun hai.
Jisne chhoda hai saath raste me,Aaj B uski aarzu Q hai.
-BISMIL
Puchho na intizar ki muddat ka kuchh hisab..
Is beech waqayi kayi mosam badal gaye..
SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.
Samjhe thay hum k hijr ke lamhaat tal gaye..
Woh aaye aur baithe bithaye nikal gaye..
SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.
Chilchilati dhoop me karta hun sehra ka safar..
Hai meri MAA ki dua ka mere sar par saaiba'n..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
Kaha tha hum se logo ne bura anjaam hota hai..
Junoon-e-showq bhi hum kya kare'n kuch kam nahi hota..
SHAYIR:
RAFFATH ASIFI.
Ungliya'n utthti hain teri doosrau ki zaat par..
Apne andar jhaank unse badgumani chhod de..
SHAYIR:
DANISH Chickballapuri.
Bata parde me tu kab tak rahega..
Mera jeena hi mushkil ho gaya hai..
SHAYIR:
Saifullah Arshad Saif,
Chickballapur..
Jaisa usko batlaoge waise kaam karega woh..
Bachcha jaise geeli mitti har saanche me dhalta hai..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT.
Umr bhar baate'n karengi aap se Ghazle'n meri..
Tum mere ash'aar ke lafzo me dhal kar dekhiye..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Umr bhar baate'n karengi aap se Ghazle'n meri..
Tum mere ash'aar ke lafzo me dhal kar dekhiye..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Mere kandho pe meri hasrato ka..
Janazah khud uthata ja raha hun..
SHAYIR:
Ghouse Peer Hamdard
Davangere..
** * **
No comments:
Post a Comment