Kisi Ashiq se poochho Lazzate Aah-O-Buka kya hai.
Tadapna gar na ho ulfat me ulfat ka maza kya hai.
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.
Khud-kushi mat karo halaat se dar kar yaaro..
Gham se chhutkara kahan milta hai mar kar yaaro..
SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.
Tasweer-e-ghazal deed ke qabil nahi hoti..
Jab tak k lahu qalb ka shamil nahi hota..
SHAYIR:
JALAL MADANI,
Vaniyambadi.
Chehre pe go k rang-e-tabassum ka hai nikhar..
Har aarzu hai seene ke andar lahu lahu..
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore.
Tasauwur hi se mahshar hai bapa dil me toh nadano..
Zara socho haqeeqat me woh aa jaaye toh kya hoga..
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER
Ek bar jo dekha hai tera husn-e-mujassam..
Wojhal meri aankho se ye jalwa nahi hota..
SHAYIR:
RAFFATH ASIFI,
Bangalore.
De kar chale gaye mujhe tanhayiyo'n ka gham..
Tohfa ye kya diya hai meri Eid keliye..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
Ab aa bhi jaao laut ke dil beqarar hai..
Ankhein taras rahi hai teri deed keliye..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
EID ke roz toh sab log yahi karte hain..
Tum b aa jao mere paas gale milne ko..
SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali
Unhe Qurbaniyo'n se rok payega koyi kaise..
Khuda ki raah me jo jaan bhi Qurban karte hain..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
No comments:
Post a Comment