Ye hukm mila utth ke tu maindhe ko zabah kar..
Qudrat ko gawarah na thi qubani-e-insaa'n..
SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.
Jata nahi hai us pe zabeeha ka gosht posth.
Pahonchega bas khuloos tumhara Khuda ke paas.
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar
Rahmato ka taaj pehne Eid laayi hai bahaar..
Jhoomti hain mil ke khushiya'n batt raha hai dil ka pyar..
SHAYIR:
SIRAJ ZEBAYI
Aati hai BAQAR-E-EID musarrat liye huwe.
Takbeer ki hai goonj
Zamaan-o-makaan me.
SHAYIR:
IBN-E-HASAN
Phir umango ne sar uthaya hai,CHAND umeed leke aya hai.
EID aayi hai tum b aa jao,Maine khushiyo se ghar sajaya hai.
S.HAYAT
Kuchh aur nahi aata nazar mujh ko maherba'n..
Aa jata hai jab aap ka chehra mere aage..
SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.
Khayalo me mere samaya woh aise..
Nikale se bhi ab nikalta nahi hai..
SHAYIR:
Syed Abubaker Maliki,
Bhatkal....
Judayi teri mujh ko dasti hai hardam..
Kisi tarha dil ye bahelta nahi hai..
SHAYIR:
Syed Abubaker Maliki,
Bhatkal..
No comments:
Post a Comment