Saare rang simat aaye hain unki haya me phoolo'n ke..
Utne hi pyare lagte hain woh jitna sharmate hain..
-
SHAMEEM HAYAT
Yaaro ! Zaroor uski bhi majbooriya'n thi kuchh..
Warna woh is tarah mujhe tanha na chhodti..
SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.
Kisi ko bewafa kehne se pehle dekh lo BISMIL..
Najane kis bina par usne tum se bewafayi ki..
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.
Ay maut ! Sochte thay k ham kyun hain beqarar..
Woh tera intizaar tha ab yaad aa gaya..
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.
Gawo'n me baant'tha hai woh kambal ghareeb ko..
Jo shakhs apne baap ko lungi na de saka..
SHAYIR:
SABA DARBHANGVI, Bihar.
Kam-zarf ko kaha'n bhala auqaat ka Lihaaz.
Rakhte hain ahl-e-ilm toh har baat ka Lihaaz.
SHAYIR:
SIBTAIN PARWANA, Bihar.
Na kisi wazeer ki bazm hai Na kisi ameer ki anjuman.
Ye to Bazm-e-urdu zabaan hai Yaha'n koi chhota bada nahi.
ZIA Karnataki
Kharaash kaanto'n ki lekar chaman se laute hain..
Nazara karne chale thay jo log phoolo'n ka..
SHAYIR:
AHMED NAZEER.
Jisko sunne keliye umr ganwa di usne..
Woh hi ek lafz na meri zabaan se nikla..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari (U.P.)
Hai sirf tum se mohabbat mujhe zamane me..
Ye baat dil ki mai kyun unse keh nahi paata..
SHAYIR:
SURAJ KARNATAKI,
Hari Har.
No comments:
Post a Comment