Aayi nahi hai neend jo barso'n huwe HAYAT..
Aankho'n ko jaagne ka hunar de gaya hai kaun ??
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore
Bekaar ki baate'n hain sab ishq-o-mohabbat ki..
Ye rog jo lag jaaye insaan ko le doobe..
SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.
Ummeede'n jo pyar ki rakhte hain tum se..
DANISH un logo'n ko nafrat mat dena..
SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH,
Chickballpur.
Na kisi wazeer ki bazm hai Na kisi ameer ki anjuman.
Ye to Bazm-e-urdu zabaan hai Yaha'n koi chhota bada nahi.
ZIA Karnataki
Meri hasrat hai k mai Shah jaha'n banke rahu'n..
Tu bhi Mumtaz rahe
Taj Mahal ki surat..
SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI, Bihar.
Izhaar-e-mohabbat kabhi tum kar ke toh dekho..
Kar dega woh inkaar zaroori toh nahi hai..
SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ,
Deobandi.
Bichhde huwe toh us se zamane guzar gaye..
Dil ko magar hai aaj bhi uska hi intizaar..
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.
(Karnatak)
Khayalo'n aur khwabo'n me jamal-e-yaar hota hai..
Isika naam hai chahat yahi toh pyar hota hai..
SHAYIR:
AHMED NAZEER
Ye ada rooh ko taskeen diye jaati hai..
Qatl ke baad mere uska pashema'n hona..
SHAYIR:
GHOUSE PEER HAMDARD,
Davangere.
Aur koyi bhi tamanna dil me baqi hai nahi..
Jee raha hun mai faqat teri khushi ke waaste..
SHAYIR:
SURAJ Karnataki,
Hari Har
No comments:
Post a Comment