Meri aankho'n me ye tehra huwa samandar hai..
Isko chheda toh nazar aayega paani paani..
SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.
Shama ki lau se takra kar jo jal jata hai parwana..
Abas jalta nahi jal kar wafa ka dars deta hai..
SHAYIR:
SHAAD JAMAYI
Dil toh ghayel huwa hai teer-e-nazar se unke..
Ab faqat baqi hai is jism ka be-jaa'n hona..
SHAYIR:
GHOUSE PEER HAMDARD,
Davangere...
Dil me ummeed ka rakhna toh buri baat nahi.
Jo tujhe mil na sake uski tamanna toh na kar.
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar
Uske rukh-e-jameel ki ranayiya'n na poochh..
Kaliya'n chatak rahi hain usay dekh dekh kar..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali...
Banjar hai zami'n dil ki zarkhez toh hone do..
Khushbu-e-mohabbat ke ham phool khila denge..
SHAYIR:
Saifullah Arshad Saif.
Leker gulab god me baitha hun shaam se..
Ruttha huwa hai woh toh magar de gaya hai kaun ???
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore
Haseen shakl se matlab nahi mohabbat ko..
Woh ek ada hai jise dil pasand karta hai..
SHAYIR:
Dr. Fitrat Bhatkali.
(Karnatak)
Ye sach hai k mai uski mohabbat ka hun talib..
Woh bhi ho talabgaar zaroori toh nahi hai..
SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ Deobandi.
No comments:
Post a Comment