Teri soorat basi hai dil me kuchh aise k phir koyi..
Tasauwur me bhi gar aaye hame'n achha nahi lagta..
-
NOURIN MAHEK
Ab pyar-o-mohabbat ki bu-baas nahi aati..
Nafrat ki hawaye'n jo phaili hain zamane me..
SHAYIRAH:
NAGHMA Karnataki,
Hari Har
Bhule se bhi mai bhool na paounga aap ko..
Dil par hai naqsh aap ki tasweer is tarah..
SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF
Dekha jo uske aariz-e-gulgu'n ko ghor se..
Qabu nahi raha mera hosh-o-hawaas par..
SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.
(Karnatak)
Gungunane lag gayi hain geet dil ki dhadkane'n..
Raaste me kya woh jaane keh gaya chalta huwa..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Aa jaaye kaash phool sa chehra woh phir nazar..
Phirta hun mai talash me jiski nagar nagar..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
Jinko maloom nahi hai k mohabbat kya hai..
Woh bhi kehte hain k Ham ne bhi mohabbat ki hai..
SHAYIR:
Dr. Virottama Sargam
Jab jhuka kar apni palke'n sochne lagta hun mai..
Khwab ban kar band aankho'n me sanwar jaate ho tum..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Shayed isiliye mujhe kehte ho bewafa..
Kyun ab tumhare zehn me aata nahi hun mai..
SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
Lucknow. (U.P.)
No comments:
Post a Comment