Zehn darwaze pe rehta hai nazar aangan me..
Jiski Beti ho jawa'n uski rihayi kaisi..
SHAYIR:
AMEER ANSARI,
Hasanpur. (U.P.)
Wafa shi'aar hun mai is Qadar mere hamdam..
Tera Qusoor bhi apni khata lage hai mujhe..
SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore.
Jalta huwa ghar dekh ke aata tha jise lutf.
Ab apne hi khud ghar ka dhuwa'n dekh raha hai.
SHAYIR:
SYED BHATKALI
(Karnataka)
Chand nadeeda baharo'n ki tamanna le kar..
Ham bhatakte rahe iflaas ke bazaro'n me..
SHAYIR:
MUKHTAR BADRI,
Krishnagiri.
Padho toh aaj bhi har lafz se khushbu bikharti hai.
Kuch aise khat meri boseeda almari se nikle hain.
SHAYIR:
ZAFAR Ranipuri
Na daulat me na izzat me na woh shohrat me milta hai.
Mujhe jitna suku'n MABAAP ki khidmat me milta hai.
(SHAMEEM KIRATPURI)
Khushiya'n mohabbato'n ki toh hoti hain aisa itr.
Ek din bikhar hi jayega kab tak chhupawoge.
SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam
Shayed bichhad ke aap se zinda na reh saku'n..
Tanha na chhodna kabhi Ay hamsafar mujhe..
SHAYIR:
YUNUS PARVEZ AKHTAR.
Koyi shaitan barpa kar gaya mahol dahshat ka..
Khilona haath se bachcha bhi dar kar phenk deta hai..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Shab-e-furqat ki siyahi ko mitane keliye..
Roghan-e-chashm se yaado'n ke jalaye hain charagh..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
No comments:
Post a Comment